Sunday, February 14, 2010

Ash ko mein...

Yuhi kuch sawaalo ke jawab
Dhundta phirta hu main
Ash ko mein jeeta hu, dosto
Ash ko mein palta hu

Kyu, Kab, Kaise, Kaha
Jaanne ki tamana rakta hu
Par jaan kar aakir inka karu kya
Issi soch mein har waqt bikarta rehta hu
Chahu agar tho har sawalo ke jawab khoj du
Par unka saamna karne se thoda darta hu
Ash ko mein jeeta hu, dosto
Ash ko mein palta hu

Kafi waqt guzaar gaya
Bhag bhaga mera sab kuch bhigad gaya
Thehrav sa aa jaye
Kismat bhi ullaj jaye
Sabhi ko suljane ki himmat rakta hu
Ashko mein jeeta hu, dosto
Ashko mein palta hu